Jaane kya hua, maano kaynat badli
Uski hansi main basi wo shararat badli
Ankhon ka nasha jo madhosh karde
Wo nasha na rahega, ye socha na tha!!
Ye hawa badli, ye bahar badli
Barish ki boondo ki rafter badli
Khush the hum in lamho main jeeke
Par tum badal jaoge ye socha na tha!!
Bade log thak gaye ye kahte kahte
Samay hai badalta, insaan bhi hain badalte
Par dil na maana, kaha main sab rok dunga
Us honi ko rok na payenge, ye socha na tha!!
Hona kya hai, samjhayenge is dil ko
Kahenge nahi rahta sab ek jaisa
Palak bhi na jhapka paye, dil ko samjha bhi na paye
Sab itni jaldi hoga, khuda janta hai, ye socha na tha!!
4 comments:
Awesome anshu...
it is really wat ur heart says...n probably i know whom u r talking about :D
inki kavitaa mein woh dard hai jo aajkal kam hi dekhne ko milta hai .....naami aashiqon (read romeo, majnu, raanjha ) ko mare arsa beet gaya ....aaj ki sadi mein itna dard bhara hai ...yeh socha na tha !!! :) he he
kya kahun main is ko padhne ke baad............m speechless
its a heart touching poem....
n i know ye sab sach hai......
sach ko bayan karne ka tarika to koi tujhse sikhe......
dil ka haal labson main bayan karna koi tujhse sikhe.....
hum to hain anari jeene ka tarikaa to koi tujhse sikhe........
anshu....amazing work...but abhi ko pata hai aur mujhko nahi pata ki tu kiske baare mein baat kar raha hai? not fair...i want to know... :(
u r so romantic...wow...humare saath to akhkha din gaali galoch karta hai...yeh sab dimaag mein kab aata hai tere?
Post a Comment