Sunday, August 17, 2008

To fir aur kya hai !!

Wo bike ki kanch se chhup chhup ke dekhna
Wo ankhen milte hi halka sa muskurana
Wo chashme ke bheeter se ankhon ko padna
Ye chahat nahi hai to fir aur kya hai?

Wo teekhi nigahen, kuch janne ki kashish
Itne dino se na mil pane ki khalish
Kuch samay main sab dekhne ki gujarish
Shikayat nahi hai to fir aur kya hai?

Wo bhari sa basta, wo nanhi si ladki
Sahara pati meri ummeed ki khidki
Wo aage aage chalke, sath main bulana
Adayen nahi hai to fir aur kya hai?

Wo bheegi si julfe, wo bheeni si barish
Wo kampte hoth, wo alsati ankhen
Hothon ko seeke, ankhon se bolna
Sazish nahi hai to fir aur kya hai?

3 comments:

Anonymous said...

oh my god !!!
i m wordless !!
maine to tera ye roop kabhi nahin dekha .......it is too good !!!
to tere dost ne sahi kaha thha ki tu bahut achha shayar.
ya ye kah sakti hoon.....
tu shayar to nahin magar o anshu jab se dekha kisiko....tujhe shyari aa gayi.....m i right !!!
anyone who read this poetry he/she definitely feel it.....
keep it up!!!
bass ab bahut taarif ho gayi teri....ab neechhe aa ja....:)

alpi said...

finally.....here u showcase ur hidden talents...am impressed anshu....gr8 job....sach mein its unbelieveable that its u who has written this....

Unknown said...

sahi hai anshu..mast likha hai..

isko khatam mat kar yar..continue kar aur aage..yeh dil maange more :)

yeh meri guzaarish nahin to fir kya hai ;)